|
| |
|
|
|
| Maa chamunda devi chalisa |
Doha
Neelvaran ma kalika rehti sada prachand |
Das hatho mai sastra dhar deti dusth ko dandd |
Madhu ketabh sanhar kar kari dharm ki jeet |
Meri bhi badha haro ho jo karm puneet ||
Chopai
Namaskar chamunda mata | teeno lok mai mai vikhyata ||
Himalya mai pavitra dham hai | mahashakti tumko pradam hai ||
Markandiye rishi ne dhiyaya | kaise pragati bhed bataya ||
Subh nisubh do detiye balsaali | teeno lok jo kar diye khali ||
Wayu agni yam kuber sang | surya Chandra varun huye tang ||
Apmanit charno mai aye | giriraj himalye ko laye ||
Bhadra-rondrra nittya dhiyaya | chetan shakti karke bulaya ||
Krodhit hokar kaali ayi | jisne apni leela dikhai ||
Chandd mundd or sumbh pathaye | kamuk very ladne aye ||
Pehle suggriv doot ko mara | bhaga chandd bhi mara mara ||
Arbo sainik lekar aaya |drhoom lochan krodh dikhaya ||
Jaise hi dusth lalkara | huh u sabdd gunnja ke mara ||
Sena ne machai bhagdad | faada singh ne aya jo bad ||
Hattiya karne chandd-mundd aye | madira piker ke ghurrai ||
Chaturangi sena sang laye | uche uche sivier girai ||
Tumne krodhit roop nikala | pragati daal gale mund mala ||
Charm ki saadi chite wali | haddi dhacha tha balsaali ||
Vikral mukhi ankhe dikhlai | jise dekh sristi ghabrai ||
Chandd mundd ne chakra chalaya | le talwar hu sabd gunjaya ||
Papiyo ka kar diya nistara | chandd mundd dono ko mara ||
Haath mai mastak le muskai | papi sena phir ghabrai ||
Saraswati ma tumhe pukara | pada chamunda naam tihara ||
Chandd mundd ki mirttyu sunkar | kalak mourya aye rath par ||
Arab kharab yudh ke path par | jhok diye sab chamunda par ||
Ugrr chandika pragati akar | gidadiyo ki wadi bharkar ||
Kaali khatwang ghuso se mara | brahmadd ne feki jal dhara ||
Maheshvari ne trishul chalaya | ma veshdavi cakkra ghumaya ||
Kartikey ke shakti ayi | naarsinghi dittiyo pe chai ||
Chun chun singh sabhi ko khaya | har danav ghayal ghabraya ||
Rakttbeej maya felai | shakti usne nai dikhai ||
Raktt gira jab dharti upar | naya detiye pragata tha wahi par ||
Chandi ma ab shool ghumaya | mara usko lahu chusaya ||
Subh nisubh ab dode aye | sattru sena bharkar laye ||
Vajrrpaat sang sool chalaya | sabhi devta kuch ghabrai ||
Lalkara phir ghusa mara | le trisool kiya nistara ||
Subh nisubh dharti par soye | detiye sabhi dekhkar roye ||
Cahmunda ma dhram bachaya | apna subh mandir banwaya ||
Sabhi devta aake manate | hanumat bherav chavar dulate ||
Aasvin chet navrattre aau | dhawaja nariyal bhet chadau ||
Wander nadi sanan karau | chamunda ma tumko piyau ||
Doha
Saranagat ko shakti do he jag ki adhar |
‘Om’ ye neya dolti kar do bhav se paar ||
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
| |
| |
|