|
| |
|
|
|
| Maa jwala chalisa |
Doha
Shakti peeth ma jawalpa dharu tumhara dhiyan |
Hridya se Simran karu do bhakti vardan ||
Sukh vaibhav sab dijiye banu tihara daas |
Daya drishti karo bhagvati aapmai hai vishwash ||
Chopai
Namaskar hai jawala mata | din dukhi ki bhagya vidhata ||
Jyoti aapki jagmag jage | darshan kar andhiyara bhage ||
Nav durga hai roop tihara | chodah bhavan mai do ujiyara ||
Brhamma Vishnu Shankar duare | je ma je ma sabhi uchchare ||
Uche parvat dham tihara | mandir jag mai sabse niyara ||
Kaali laxmi saraswati ma | ek roop ho parvati ma ||
Riddhi-siddhi chavar sulave | aa ganeshji mangal gave ||
Gouri dibbi darshan pau | baba balak naath manau ||
Apki leela amar kahani | vardan kaise kare ye pradi ||
Raja dakch ne yag rachaya | kankhal haridwar sajaya ||
Shankar ka apman karaya | parvati ne krodh dikhaya ||
Maire pati ko kyu na bulaya || sara yag vidhvans karaya ||
Kud gaye ma kund mai jakar | shiv bhole se dhiyan lagakar ||
Koro ka sav kandhe rakhkar | chale naath ji bahut krodh kar ||
Vishduji sab janke maya | chkra chalakar bojh hataya ||
Ang gire ja parvat upar | ban gaye ma ke mandir us par ||
Bawan hai subh darshan ma ke | jineh poojte hai hum ja ke ||
Jinnah giri kangede upar | amar tej ek pragta akar ||
Jinnah pindi roop mai badly | unsuiya geya waha nikli ||
Dudh piya ma roop mai ake | ghabraya guwala waha jake ||
Ma ki leela sab pehchana | paya usne wahi dhikana ||
Sara bhed raja ko bataya | jawalaji mandir banaya ||
Chandi ma ka path karaya | halve chane ka bhog lagaya ||
Kalyug wasi poojan keena | mukti ka fal sabko dina ||
Chosath yougni nache duare | bawan bhero hai matvare ||
Jyoti ko Prasad chadave | pedh dudh ka bhog lagave ||
Dhol dapp baje sehnai | damru chene gaye badhai ||
Tuglak akbar ne ajmaya | jyoti koi bhujha nahi paya ||
Nehar khodhkar akbar laya | jyoti par pani bhi giraya ||
Lohe ki chadar thi thukvai | jot felkar jagmag ayi ||
Andhkar sab man ka hataya | chtra chadane dar pe aya ||
Sardagat ko ma apnaya | uska jivan dhaniye banaya ||
Tan man dhan mai karu nuchawar | mangu ma jholi felakar ||
Mujhko ma vipda ne ghera | kaam krodh ne lagaya dera ||
Sej bhawan ke darshan pau | baar-baar mai sish nabau ||
Je je je jagdambb jawalpa | dhiyan rakhegi tu hi balka ||
Dhiyanu bhagat tumhara yash gaya | uska jivan dhanya banaya ||
Kalikal mai tum vardani | chama karo mairi nadani ||
Sharan pade ko gale lagao | jyoti roop mai sanmukh aao ||
Dhoa
Rahu pujta jawalpa jab tak hai ye suwas |
‘Om’ ko dar pyara lage tumhara hi vishwash ||
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
| |
| |
|